Dasht-e-Tanhai - Amjad Islam Amjad
Urdu Poetry Collection Book by Fakhira Batool
PATTHAR
Aik Lamhay ko Tehar, Mein tuje Pathar La du!
Mein tere samne Ambar laga donga Lekin
Kon se Rang ka Patthar tere kaam Aiga?
Surkh Patthar, Jisay Dil Kehti hai Be-DIL Dunya
Ya wo Pathrai hui Aankh ka Neela Patthar?
Jis mein Sadiyon k Tah'haur k Paray hon Doray?
Kya Tujhe Rooh k Patthar ki Zaroorat Hogi?
Jis pe Haq Baat bhi Patthar ki Tarha Girti hai
Ik wo Pathar hai Jisay kehte hain Tehzeeb Sufaid
Is k Mar Mar mein Siyah Khoon Jhala Jata hai
Aik Insaaf ka Patthar bhi to hota hai Magar
Hath me Tesha-e-Zar ho to wo Hath ata Hai
Jitne Mayyar hain is Dawr k sab Patthar Hain
Jitne Afkaar hain is Dawr k sab Patthar Hain
Shair bhi Raqs bhi, Tasveer-o-Ghina bhi Pathar
Mera Ilhaam, Tera Zehan Rasa bhi Patthar
Hath Patthar hain Tere, Meri Zubaan Patthar Hai
Rait se But na bana, Ay mere Achay Fankaar...-----------------------------------------------
Very nice sad poetry.
ReplyDeleteI am sharing some of my favorite sad poetry here.
Dil ki baat labon par la kar ab tak ham dukh sehte hain
Ham ne suna tha is basti mein dil wale bi rehte hain
Beet gya sawan ka mahena mosam ne nazrain badlen
Lekin in payasi aankhon se ab tak aansoo behte hain
Aik hmain awara kehna koi bara ilzam nahi
Dunya wale dil walon ko aur bohat kuch kehte hain
Jin ki khatar shehr bi chora jin ke liye badnaam hoye
Aaj wohi ham se begane begane se rehte hain
Wo jo abi is rah guzar se chak greban guzra tha
Us awara dewane ko jalib jalib kehte hain